Alfaaz {Spoken Words}
Yeh chalte hai, phirtey hai, bin bulaye hi aah jaate hai Nahi poochtey kissise kuch, apne mann ki manmaani kiye jaate hai Kabhi pahadoh ki tarah oohnche ho jaate hai Par phir bhi jo kehne aaye thay woh keh nahi paatey hai Fir kabhi bin kahe hi sab kuch, bayah kar jaatey hai Inhi ki oon se toh zindagi buni hai Inhi ki gohnd zindagi judi hai Inhi ki syaahi se zindagi likhi hai Inhi ki gaanth se zindagi bandhee hai Fir kabhi ussi oon mein uljhee padi hai Fir kabhi ussi gohnd se ukhdee padi hai Fir kabhi ussi syaahi mein doobi padi hai Fir kabhi ussi gaanth se tooti padi hai Kabhi woh kehtey hai tu sahi, kabhi woh inhe galat kehte hai Arre inn alfazoh ko kya pata, yeh toh bus zubah keh zariyeh bayah ho jaatey hai Kehte hai wohi joh theek lagey, naahi yeh sahi ya galat samajh paatey hai Kabhi koi kehta hai yeh mat kaho Kabhi koi kehta hai woh mat kaho Duniya ke oosooloh ki rassi, alfaazoh ka galah ghontee jaati hai Kaun hai jisne banaye yeh niyam, Ko...